Ishq mai kabhi naakaami nahi milti, darjaat buland
hojatay hai
Parwanay ki tarha jal jana tou muhez junon e ishq ki
ibtida hai
Ishq mai nadani, ranj o gham or asoodgi hi tou
badnaam hai
Par jo sukoon e qalb ishq pohncha dein, wo hi
awaleen quwat hai
Ishq tu khud hi hai, tu khud mai hi talaash kar
Rooh kaanp uthay, kuch is tarha apne mehboob ko yaad
kar
Jab neeyat sachi ho tou kis baat ka khouf hai tujhe
Yeh duniya tou faani hai phir kis baat ka guroor hai
tujhe
Ashiq ki pehchan fanaa honay kay siwa or kuch bhi
nahi hai
Jo khud ko pehchaan jaye wo hi ishq mai abaad hai