Kya bataun tujhe is kainaat kay moujizay, ragon mai khoon
rava hai or apne hi khyalon ka ajab sa samaa hai
Agar daryaft karna chahta hai tou us suraj ki tapish ko
mehsoos kar , Jo jalta tou khud hai magar saray jahan ko roshan kardeta hai
Tu khud se pooch vo tujh mai kya hai jo tujh ko sab se alag
kardeta hai, or yeh dekh woh kya hai jo tujhe ye sochne par majboor kardeta hai
Kis taraf bhaagna chahta hai or kya ban’na chahta hai,kuch
aise hi nahi tu ashraf ul makhlooqat mai shumar hojata hai
Azaad hoja tu saari jumbisho se, khud ko khud hi mai kyu qaid
kardeta hai,
Or jhuk jati hai peshaani jab kabhi sajde mai, tou tu akhir kyu ro
deta hai
Sabar o ajazi, mayanarawi or khud aitmadi jab ajaye ikhlaq
mai tou dekh, tu khud kya jadugar nai kehlata hai
No comments:
Post a Comment